gharaunde me lage ped ki jade kuch khul si gayi hain...
chaukhat pe jami aandhiyo ki mitti kuch dhul si gayi hain...
kuch jhokein thi jo saath laati thi khushbooyein...
ab woh hawaein bhi iss raqbe ki disha kuch bhool si gayi hain...

chaahu nikal ke talaashna uss qaasid ko...par maqsad kuch mila nahi...
kadam bhi laachaar hain aur woh iraade bhi...
ki ab humari chaal bhi unn raaho par chalna kuch bhool si gayi hain...

iraade toh mann me hote hain...par dil ko bhi woh jazba mila nahi...
fir bhi jaag gayi saasein aur khul gayi aankhein...
par yeh aakhein uss roshni ko takna bhool si gayi hain...

umeed ke pyaale me yeh zindagi kuch ghul si gayi hai...
bin hawaon ke bhi yeh viraan parde kuch jhool si gayi hain...
kuch jhokein thi jo saath laati thi khushbooyein...
ab woh hawaein bhi iss raqbe ki disha kuch bhool si gayi hain...

Sign In to know Author