kuchh baat hai is waqt mein jo wo khada mere saamne
Ab yahan se kahin peeche hatun ye mumkin nahi

maanta hu mere taare zara gardish me hain
isliye khud ko chhipa lu ye bhi kabhi mumkin nahi

bahut aazmaya hai is waqt ne humko yahan
waqt aur haalaat se haar jaun ye mumkin nahi

toofan ko bhi badalne ka rakhta hoon main hausla
koi toofan badalde mujhe aisa bhi mumkin nahi

Sign In to know Author