kya kahen ki kya aalam hai mere dil ke andar
bas khayal nahi hai ,hai soch ka samandar

koshish to thi nikal jaun is toofaan se
par aa gaya mere raahon me ek bawandar

umeed ki roshni ab bhi hai baaki kahi
usey bacha kar rakha hai apne andar

Sign In to know Author