Jab Kabhi Bhi Humse Koi Puchha Karta Tha
Ki Kisi Bhi Larki (Girl) Ke Bare Me Hum Kya Sochte Hai ?
Mera Jawab Hota Tha Yahi Har Bar:-
"Jo Ho Shital Chhaon Ki Tarah
Shant Kar De Bharakte Jwalamukhi Ki Aag Ko Aisi Shabnam Ki Tarah
Sachchai Ki Murat
Jo Hai Prakriti - Adhar Shrishti Ke Srijan Ki
Har Jakhm Har Dard Pe Marham Ki Tarah
Osh Ki Bundon Se Bhi Jo Hai Komal
Pyar Aur Ehsas Ki Ek Khoobsurat Surat Ki Tarah
Wo Is Jahan Me Ek Larki (Girl) Hai
Par Ab Hum Khud Se Hi Sawal Karne Lage Hai
Har Ek Khubsurat Larki Se Darne Lage Hai
Mano Jaise Humar Alfaz Jhuthe Hone Lage Hai
Jaisa Hum Kaha Karte The Ab Usi Pe Sawal Khare Khud Karne Lage Hai
Jab Humne Jana Karib Se In Khubsurat (Girl) Balaon Ko
Ehsas Hua Ki Jaise Ye Hi Wajah Hai Har Ek Dard Har Jakhmon Ki
Aaj Puchhte Hai Khudi Se Ye Sawal Aksar Hum
"Kya Ye Wahi Hai Jinki Siddat Se Izzat Kiya Karte The?
Kya Ye Wahi Hai Jinhe Hum Prakriti Kaha Karte The?

Tags: Tragedy

Sign In to know Author