Kyun har ghadi, har pal, yu saamne aa jaati ho
Kyun zarre zarre mein yu nazar aati ho
Kyun ab bhi tumhaara chehra yu aankhon mein kaayam hai
Kyun ab bhi main zinda hu, aur dill mein ghadkann hai?

Abhi kal hi toh be-fiqr main tumhaari gode mein leta tha
Abhi kal hi toh be-parvaah tumhaare saath baitha tha
Mere labo ko aone hontho se kal tumne hi toh lapeta tha
Abhi kal hi toh tumne apni baaho mein mujhe sameta tha.

Kahaa tha saath chalogi mere har kadam ke
Chaahe ho khushiyo ki bearish, ya baadal ho gham ke
Rehna tha humein guldaste mein phoolo ki taraah
Khilna tha saath, yu hi be-vajaah, binn mausam ke.

Phir yu achaanak kal raat kya hua
Kyun iss alhadi dill ne ki tere be-rehem allah se dua
Mujhe yakeen hai, kuchh toh hua hoga
Varna yeh pathhar dill aaj rota kyun bhala?

Kyun jo kal tak teri zulfo mein bannd thi
Aaj woh aankhein namm hain?
Kyun aaj sab kuchh hai, par kuchh toh kamm hai?
Kyun tere allah ko dikhaayi nahin padta
Ki meri rooh ke bina kiss kaam ka yeh badann hai?

Kal raat maine tere khuda se muquaabla kya kiya
Usne toh mera hi khuda mujhse chheen liya.
Dekh tera allah kitna naamaakool, kitna kameena hai
Mere saamne padi teri laash iss baat ka namoona hai.

Le main ab se, tere rabb se, haan sab se
Ibaadat karta hoon
Ki kaash yeh dua meri pehli aur aakhri dua ho
Ki main bhi milu tujhse raah-e-jannat mein
Ki iss roz bhi tu hassti nazar aayee,
Maano jaise kal raat kuchh na hua ho!

Sign In to know Author