mein jab chhota bacha tha toa roz thokrein khata tha mein! chhoti si ik chot ko le kr!
nanhi si ik baat se chir kr
pehron rota rehta tha mein!
tab ankhon se toOtay taaray sb ko kitnay chubhtay thay
aur meri kamar pr kitnay dilaasay ghanton thapka krtay thay!

par aaj mein pehron roya hun toa
lamha lamha soch rha hun!
kya mein ab masoOm nhi hun??
kya meri ankhon k taaray utnay hi nayaab nhi hein???

ab tak man se bacha hun per
rait ki kachee gharee ki ghantee
meray tan ko goondh rahee hai...
ab mein thokar khaun ga toa...
mujhko dilaasa denay walay...
meray ghamon pe tanz kasein ge...
meri siski ghhut jaye gi
mujh per meray dost hansein ge...

ab mein umr ka Mard hun mujhko
meray aansoo dho denay hain...
woh meri tanhai k sab
pakkay saathi kho denay hain..

haan mera bhe dil toa ho ga
per bas khhat khhat karta purza...
jis k koi armaan na hon ge...
mein apnay maan ko dafna kar
barsoan us per naaz karun ga...
phir kya mein yeh soch sakun ga
keh mein pathar ban to gya hun...
per buut hun bhhagwaan nahin hun...
kesa aadam jaaya hun mein...
mard hun mein insaan nahin hun???

kuch yeh jins ka qarz hai mujh per
meri umr ka harjaana hai...
apnay pakkay seenay mein ab
aisee qabar banaun ga mein...
jiss mein meray khel khilonay
aur bachpan ko dab jab hai..

lekin mujhko rona nahin hai
by saji

Sign In to know Author