Jab aap pehli baar chalna sikhte ho,'log kehte hain' beta chalo..hum hain,pakad lenge..phir gir kaise jaate hain hum,chot kyun lagti hai hume ?
Jab aap pehli baar kisi doll se khelte ho,'log kehte hain' beta jo karna hai karo,tumhara hi doll hai..toh phir todne par ya phek dene par daant kyun padti hai ?
Jab aap bolna shuru karte ho,'log kehte hain' ki beta bada pyaara lagta hai tumhara sound aise hi bolte raho,par jab aap jyada badbadaane lagte ho toh phir chup rehne ko kyun bola jaata hai ?
Jab aap kisise baat nahi karte toh..'log kehte hain' beta jao dost banao,par ussi dost k saath jab aap din me maximum time guzaarne lagte ho toh phir dosti ko limit dene k baareme kyun bola jaata hai ?
Jab aap school nahi jaana chahte,toh 'log kehte hain' ki beta school toh jaana chahiye aur jab aapko apne school se,teachers se,friends se lagaw ho jaata hai,toh phir school k stories bolne se roka kyun jaata hai ?
Jab aapko force kiya jaata hai extra-curricular activities me participate karne toh ek point aisa aata hai jab unhi me se ek activity aapka passion ban jaata hai. Tab padhai aadh me uss passion ko dabaya kyun jaata hai ?
Jab aap love stories waale movies dekhte ho toh parents bhi saath me dekhte hain,par jab aapko kisise pyaar hota hai toh wo ussi love story waale movie ke villian ki tarah act kyun karte hain ?
Jab aap pehli baar drink karte ho(alcohol),toh 'log kehte hain' addicted mat hona..just have fun.. par baad me wohi log tumse jyada addicted ho jaate hain.
Jab aap bina soche samjhe kisipe apna saara pyaar lutate ho,tab bhi 'log kehte hain' ki tum me kuch kami hai.. kyun ? Jitna karo utna kam hi hota hai,kyun ?
Arrey.. baat bas yehi hai ki.. 'log kehte hain'.. 'logon ka kaam hai kehna'... 'par pyaare, logon k baaton se tum kabhi na dagmagana'...
Live your life your way :) :) koi kya kehta hai.. kya sochta hai.. uss se kya farak padta hai !! Hai ki nahi ??

Sign In to know Author