mujhe bhi ijaazat do khul ke jeene ki
mai bhi khul k jeena chahta hoon..
hasraten meri bhi hai aasmaan chumne ki
mai bhi aasmaan chumna chahta hoon..
meri bhi chahte hain aasmaan mein unchi udaan bharne ki
pankh mere bhi laga do, mai bhi udna chahta hoon..
basanti hawa ke jaise mai bhi pedo ke sang jhoomna chahta hoon..
hasraten meri bhi hai aasmaan chumne ki
mai bhi aasmaan chumna chahta hoon..
jis tarah subah ki kirno ko koi rok nae pata
theek isi tarah mai bhi nahi rukna chahta hoon..
mai bhi subah ki kiranon ki tarah hona chahta hoon..
jis tarah khwaabon ko koi bediyaan nahi bandh sakti
mai bhi nahi bandhna chahta hoon..
isi khwaab ki tarah mai v hona chahta hoon..
pedon sang mai bhi jhoomna chahta hoon
aasmaan ko mai bhi choomna chahta hoon..
jis khayaal pe koi pehredari na kar sake
mai bhi wo khayal hona chahta hoon
mujhe bhi ijaazat do khul ke jeene ki
mai bhi khul ke jeena chahta hoon
mai bhi khul ke jeena chahta hoon..

Sign In to know Author