Kabhi adhoore khwaab ka
Kabhi lajawaab sawaal ka
Kabhi ansuni baaton ka
Main hissa bana

Kabhi bhare zakhmon ka
Kabhi sooni raaton ka
Kabhi badhti khalaaon ka
Main hissa bana

Main hissa hoon
Un tamaam jazbaaton ka
Jo mujhe saup diye gaye
Kabhi sikudti shaam ki
Thandi hawaaon ka
Main hissa bana

Kabhi khayaalon ke dhaagon se
Buni gayi kahaani ka
Main hissa bana
Kabhi jalti dhoop ka
Kabhi mehke phool ka
Kabhi din ke ujaale ka
Main hissa bana

Kabhi kisi ghazal ka
Kabhi ek shaayari ka
Kabhi kisi ke khayaalon ka
Main hissa bana

Kabhi kisi ki khushi ka
Kabhi kisi ke gham ka
Kabhi zindagi to kabhi maut ka
Main hissa bana

Sign In to know Author