Meri khidki se chhanti chandni jab mujhe bhingo gayi,
Aisa laga ki teri khushboo thi jo mujhe bhingo gayi,
Doobne lagi un khayalon mein jaha tum shayar the aur main shayari,
Jaane wo kaun sa lamha tha jab main ho gayi tumhari..

Kachche mann mein na jaane kaise tumhari moorat ban gayi,
Jaane tumhari baatein thi ya nazrein jo dil me utar gayi,
Tumne jo chhua to hui bawri, apna tan man main to haari,
Jaane wo kaun sa lamha tha jab main ho gayi tumhari..

Bhooli main sab sakhiyon ko, bachpan bhi main bhool gayi,
Tumhari muskaan, tumhari khushi hi mere jeene ki wajah bam gayi
Tumhe hi chahoon, tumhe hi poojun, tumhi par jau waari,
Jaane wo kaun sa lamha tha jab main ho gayi tumhari..

Jab mili humari nazrein, meri palkein sharma k jhuk gayi,
Tumhare pyar ki baarish mein main koti-koti bhing gayi,
Banke jogan japne lagi main teri maala, tyagi duniyadari,
Jaane wo kaun sa lamha tha jab main ho gayi tumhari..

Tags: ROMANCE

Sign In to know Author