Main mehsoos karta hoon
Un dabe jazbaaton ko aaj tak
Jo tumse milne ke liye betaab hain
Shaam ke kisi peher mein hokar qaid
Haal-e-dil sunaana chaate hain tumhein
Tum to rehti ho bekhabar si saheliyon mein
Zulfon ko kaano tak har baar jo le jaati ho
Maine dekha hai tumhein aisa karte hue
Zulfon ko kaano tak le jaane ka
Wo silsila sadiyon sa lagta hai
Haath tumhaare yun mudte hain
Aur dil yahaan aahein bharta hai

Main mehsoos karta hoon
Un dabe jazbaaton ko aaj tak
Jo sauff ke jaise meethe dard ko
Apna banaaye baithe hain
Tumhaare hothon ke un kono ke
Zara upar uthne par naaz hai jinhein
Ek muskaan jo tumhaari khilti hai
Koi sukoon sa ehsaas lipat jaata hai mujhse
Mere nadaan se jazbaat saare phir
Tumhaare labon ki surkhi banna chaahte hain
'Tum ek muskaan aur to do
Mere jazbaaton ko gungunaata paaogi

Main mehsoos karta hoon
Un dabe jazbaaton ko aaj tak
Tumhaare aankhon ke kaase mein jo
Baith jaana chaahte hain
Tumhaare kaajal ki rekhaaon se
Andhera jo har pal hota hai
Un andheron ko jeene do
Hai raat abhi saari padi
In jazbaaton ko ghulne do
Subah ka intezaar sahi nahin
Iss raat hi faisla hone do

Main mehsoos karta hoon
Un dabe jazbaaton ko aaj tak
Jab tumhaare rukhsaaron ki wo narmi
Ubhar jaati hai tumhaare hasne se
Dil shaadaab shaayri karne lagta hai
Aankhon mein utaar leta hai tasveer tumhaari
Iss dil ki tang galiyon se
Zara guzar ke tum aaj dekho
Tumhaare rukhsaaron ke deewane un
Jazbaaton se mil kar to dekho

Main mehsoos karta hoon
Ki ye jo saari baatein hain
Ye phir dafn ho jaayengi
Dil ke kono mein pis ke
Choor-choor ho jaayengi
Tum tak na pahuchengi sadaayein meri
Ki beech mein hi dum tod jaayengi

Sign In to know Author