manushya ke chanchal man ko udne do
na karo use kisi pinjare me kaid
pahuchne do use nayi uchaiyon par
man ki bhawna ko behne do


na roko man ke weg ko
na roko uske unmukt vicharan ko
kalpana ke sansaar me usey rehne do
man ki bhawna ko behne do

hai ek sarita ye badi chanchal
khud hi raaste bana legi ye
saagar ke gehrayio me milne ko
na roko iski khilkhilati lehron ko
man ki bhawana ko behne do

Na socho ki kaantein hai aage rahon me
auron ko jo kehna hai kehne do
man ko akele hi vicharan karne do
man ki bhawna ko behne do

Sign In to know Author