Jag sota tab tu athkheliyaan leti,
kehti hai 'maa jaag tujhse hai kuch bate karni.
Pura din dusro me uljhi rehti,
kuch chhan mujhko bhi dede aye jeevandayeeni'.

'Pagli mai to puri teri hi re.
Teri hi vaani sunne ko din raat jagti mai,
tere swapn hi sukoon dete mujhe,
tere hi intzaar me mahine kaat-ti mai'.

'Do dil ek jaan hai hum maa.
Teri sason se meri dhadhkan chalti maa.
Kintu hota hai ek ehsaas darawana,
kahin chhut na jaye daaman ye tumhara.

Kapti hai ruh yah soch kar,
kahin ho na jaye woh haal mera jo meri behno ka.
aye maa apne nayan khol tera mukh dekhna hai mujhe.
aye maa iss duniya me aana hai mujhe,
aye maa teri bitiya ban jeena hai mujhe'.

Meri ladli meri jaan ho tum.
Jise jeevanbhar chaha wah armaan ho tum.
Ghar ki Lakshmi , Saraswati ho tum.
Koi tujhe kya kast pahuchayega?
Swaym Aadishakti ho tum.

Shreshdta ke bhram me duba manushya
kya jane mohabbat ki ada ?
Jis mata ne jana unhe,
unhi ko de dalte hai maut ki saja.

Yugon se hota raha hai nari sang durvyavhar.
Uske ashmita aur matritv par hote rahen hai waar.
Kintu naari ko abla samajhne walon janlo,
agar hai wah Sawitri to jarurat padne par Kali bhi,
na hichkichayenge uske haath karne ko narsanghhar.

'Meri gudiya, meri ladli.
Ashru pochh aur hoja nirbhay.
Shyam isswar ne swikara hai ki,
duniya me kuchh bhi bheda ja sakta hai,
kintu maa ka matritv nahi'.

Iss duniya me aayegi tu.
Apne nayan khol ujyare failayegi tu.
Tujhe jankar shaan se roungi mai,
Meri bitiya bankar muskurayegi tu.
Meri bitiya bankar hi jiyegi tu.

-Pratibha Kiran

Sign In to know Author