Woh Qabil nahi, woh mauka-parast the.
Hamari jalai aag thi, ghar unke roshan ho gaye.
Woh lekhak nahi, woh dhokhebaaz the.
Hamare likhe sher the, zamane me woh shayar ho gaye.
Woh gaayak nahi, woh dhunein churate the.
Woh ghazal humne gungunai thi, jiske woh fankaar ho gaye.
Unka khayalon se vaasta na tha koi, woh hamare khayal sunte the.
Woh aasman hamara tha, jise woh apna kar gaye.
Kuchh haseen khwab the hamare, joh humne unhi se kahe the.
Humein joh karne the, woh wahi kamaal kar gaye.
Woh kehne ko toh dost the, hamare kareebi.
Magar hume dushmano se zaada woh kangaal kar gaye.
Joh socha nahi tha kabhi aisa haal kar gaye.
Woh vishwaaspatra the, woh vishwaasghaat kar gaye.
Unka khudka kuchh nahi, unka sab kuchh hamara hai.
Woh zindagi hamari thi, jise woh badi besharmi se jeete chale gaye.

Sign In to know Author