Aaj samandar ke kinaare baithe hue iss tez baarish me,
Deh toh paani se tar hai,
Zara rooh bheeg jati toh maza aa jaata...
Baarish ki boondon ke sath yun toh,
Pichhla bohot kuchh dhul ke beh gaya,
Zara aansoo ki bhi do boond beh jaati toh mazaa aa jata...
Saagar ke iss apaar, ashaant vistaar ne sach kahun toh,
Mann ki ashaanti ko bohot chhota karaar diya hai par,
Zara kisi nayi daastan ka aagaaz ho jata toh mazaa aa jata...
Aise me us chaand ke shaant chehre ko dekhkar,
Zara kuchh aaram toh mil gaya, thodi nind aa jati toh mazaa aa jata...
Barish rukne pe kadam chal padhe hain apne aap wapas ghar ki taraf...
Sooraj ko doobte, Chaand ko chadhte dekhte hue.
Samandar se yehi rishta hai mera, har mulaqat pe zindagi kuchh sthir toh ho jati hai,
Zara yeh pal baatne ke liye koi sathi mil jata toh mazaa aa jata..
Ghar ke baagiche me gulaab par tiki boondon ko dekhkar, kuchh sukoon toh zarur aaya,
Yeh khalish mit jaati, toh mazaa aa jata...

Sign In to know Author