Insaan ka toot raha hai insaaniyat se naata
Aapas mein bair rakhna mazhab nahin sikhaata

Ye to hum-tum hain jo aman ki baatein karte hain
Gaddaaron ko kya hai fark hum jeete hain ya marte hain

Har baat pe insaan kyun talwaar hai uthaata?
Aapas mein bair rakhna mazhab nahin sikhaata

Ab to jaise ijaazat chaahiye saans lene ke liye
Aankhein kholne ke liye zinda rehne ke liye

Logon ki bheed mein jaise bikhra hua sannaata
Aapas mein bair rakhna mazhab nahin sikhaata

Kaale saaye ka jaise chal raha ho sitam
Jise zindagi ne maara use maut ka kya gham

Dharm ke naam par kyun insaaniyat ko baanta
Aapas mein bair rakhna mazhab nahin sikhaata

Hai dhuaan dhuaan sa manzar aur sookhe patton ki sarsaraahat
Kho gayi hai jaise zindagi aur laakhon chehron ki muskuraahat

Kaash koi badle ki aag mein khoon na bahaata
Aapas mein bair rakhna mazhab nahin sikhaata

Hai zaalimon ke zulm ka kaisa ye asar
Toote ghar, roti soorat aur dilon mein darr

Ye khauf, ye khoon, ye zulm kise hai bhaata?
Aapas mein bair rakhna mazhab nahin sikhaata

Sign In to know Author