Me jab leta raat ko,

aasmaan ke neeche tab,

laga darr ki kahin,

gir na jaye moti mujh par,

tabhi ye dhyaan dhagon si,

taarikaaon ne kheencha,

mujhe dhaandhas bandhaya ,

aur kaha,

inhe maala me ek baandha h,

na chahte hue bhi;

kuch chote bade se hain,

kuch me chamak kam hai,

kuch chahte hain rahna,

swachand aasmaan me;

kuch ko gulaami raas si,

aane lagi hain ab;

itne me mene toka,

kaha us tarika se ab,

yahi haal hai insaan ka,

khud ki sarjameen par,

khokhla ho gaya vyaktitva,

na darr hai khuda ka ab,

kahta swachand khudko par,

gulaami khud ki karta ab.....

Tags: Peace, Nature, Dreams