Meri adhoori kahaani ko
aaj kitne saal hone aaye hain,
har pal palon ka sauda karti rahi mai,
zindagi se sirf ek mauka maangti rahi mai!

tujh bin khul ke hasna bhul gai,
tujh bin har khushi pheeki pad gayi...
har khushi ko maine tere saath baata tha,
aur apne aane vaale kal ko tere sang savara tha,
kyu ese dhoka de gaya, kyu mujhe tadpta chorr gaya?

bas yaadon ke sahaare do pal ko hasli mai,
par iss do pal ki khushi ke baad saalon ke aasu reh gaye!
meri har koshish tujhse dur rehne ki mujhe tere paas laati rahi,
meri har galti pe tera daatna mujhe dheeme-dheeme sudhaarti rahi

kya har rishte ka yahi anjaam hota hai? bohot baar dil ne yeh sawaal kiya
par jawaab ke naam pe maine usse sirf niraash kiya!

suraj ki har nayi kiran ke saath ek nayi umeed jagayi maine
ki haan shayad aaj voh din hai jab hum phir ek honge
par khud hi himmat haarkar tere saamne aane se
darr gayi mai, ruk gayi mai, tham gayi mai aur vahi se
mudh chali gayi mai dur tujhse bohot bohot dur!

tujhe kisi aur ke saath dekh kar mera dil raakh ho uthta tha
tera mujhe nafrat bhari nigaho se dekhna
tera muje dekh kar muh pher lena
in sab mei mai mon thi aur mera mann aahei
bhar raha tha!

rang berange tyohaaro pe sirf teri kami
mujhe khaane ko dodti thi, sirf teri awaaz sunne ko
mera dil itna tadpa jese ek dil bin dhadkan ke tadapta hoga!

sirf yeh kehna tha tujhse, tujh bin humesha adhoori rahungi
aur meri kahaani voh toh aadhi likhi choot gai hai,
aadhi padhi ruth gayi hai,
aur itne vakt se band hai ki ab usspe dhool bhi jamne se
muh pher chuki hai!!!

Sign In to know Author