Jab lafzon se pyaar ki itni chaashni tapakti ho,
toh mohabbat ne woh do pal dikhaya hi hoga...

Ise aap bayaan karo ya hum bayaan kare,
har pal zindagi ne uss mohabbat ka karz toh chukaya hi hoga...

Paaidaar hai unki maujudgi humare har kadam pe...

Aisa nahi ki woh jannat ja ke bhool gayi,
humari mohabbat ne unke sapne me apna haq toh jataya hi hoga...

Tags: Love

Sign In to know Author