Jahan panchhiyon k udna sikhne se pehle par kaat diye jaate hon,

wahan aam ke pedh pe neem k phal lagte hon toh chalenge!

 

jahan bachchon k haanthon me bandookein thama di jaati hon,

jahan surme lagane ki umar me zindagiyaan ujaad di jaati hon,

jahan bachpan kitaabon me kahin doob jaata ho,

jahan aadmi achchai se oob jaata ho,

wahan aasman se boondon ki jagah patthar baraste hon toh chalenge!

 

jahan zeher khule aam dukaanon me bikta ho,

jahan har kisi ko har koi bura hi dikhta ho,

jahan gaanje, afeem, cigarette ki itni maaramaari ho,

jahan desh k bhavishya pe dharma ki kulhaadi ho,

wahan mausam bas bigadne ke liye hi badalte hon toh chalenge!

 

jahan mandiron me doodh ki nadiyan baha di jaati hon,

jahan bhagwaan k naam pe loot macha di jaati ho,

jahan aadmi andhvishwaas ki gart me sasehmat ghusa chala jata ho,

jahan insaan ki niyat jannat ke darwaazon tak jaane ka raasta ho,

wahan nadiyaan khaare paani ki hi behti hon toh chalengi!

 

jahan apne desh, parivaar ka kisi ko khayal na aata ho,

jahan apna swarth hi sirf nazar aata ho,

jahan apne ghar k siva baki sab ganda kiya jaata ho,

jahan mann k mael se aadmi aadmi ko maare jaata ho,

wahan pahaadon pe jharnon se aag barasti ho toh chalegi!

 

jahan paison se aadmi ki aukaat batai jaati ho, jahan insaan ko uski paidaish se baandh dia jaata ho,

wahan ladkiyon ke chehron pe moochhein hon toh chalengi!

Sign In to know Author