Jahaan poore ho har kisi ke khwaab
Mujhe aisi nagri le chalo

Jahaan khilona na banein kisi ke jazbaat
Mujhe aisi nagri le chalo

Jahaan zindagi ghamo ki chaadar odhe karvatein na badle
Mujhe aisi nagri le chalo

Jahaan aahista aahista karvaan khushiyon ka badhta chale
Mujhe aisi nagri le chalo

Jahaan insaan mein insaan ke liye nafrat na pale
Mujhe aisi nagri le chalo

Jahaan maut aur zindagi mein koi bhi fark na ho
Mujhe aisi nagri le chalo

Jahaan raat ke sannate mein bhi ek mehfil sa ehsaas ho
Mujhe aisi nagri le chalo

Jahaan khaamoshiyaan bhi kisi ke gale ka saaz ho
Mujhe aisi nagri le chalo

Jahaan muddaton tak koi kisi ko na bhoole
Mujhe aisi nagri le chalo

Jahaan mahal aur jhoparpattiyan ek si ho
Mujhe aisi nagri le chalo

Jahaan daulat ki jagah mohabbat ki pooja ho
Mujhe aisi nagri le chalo

Jahaan laakh masroofiyat mein bhi koi kisi ke kaam aa sake
Mujhe aisi nagri le chalo

Jahaan khwaab aur khayaalon ke paron par koi bandish na ho
Mujhe aisi nagri le chalo

Jahaan na ho nafrat ke pujaari
Mujhe aisi nagri le chalo

Jahaan Allah Ram sab ek ho
Mujhe aisi nagri le chalo

Sign In to know Author