Mein bhatak Gya hun meray Khuda!
Khud hi apni zaat ki uljhon mein uljh gya hun ae Rehnuma!
Kbhi hasraton kbhi khwahishon kbhi zulmatoan ki bisaat par!
Mein khudi ko khud se hara chuka!
Woh jo meri zeest ka noor tha!
Jo sukhanwari ka ghuroor tha!
usay apni zaat ki pastiyon kbhi laghzishon mein luta chuka!

Mein ne dil se tujhko bhula dia!
Woh jo naaz tha woh ganwa dia!
Ae Maalik e Mulk o Makaan!
Mein teri Ata na nibha saka!
Woh qalam jo hamd kaha kray,
teri rifatoan ki sana kray!
usay lahv o laab se bhar dia!
Teray moajza e sukhan ko ahhh!
yun siyaahion se tar kia!

Khatawaar hun gunhegaar hun,
mein nhi hun momin e zeeqadar!
Meray Mohsin o Ghamkhaar Rab !
Nahin koi teray siwa magar!
Jo Siraat de! Mera saath de!
Mujhe pastiyon se nikaAL kr mujhe zulmatoan se nijaat de!
Ae Sabooh JalLA Jalaal hoO!
mein kasaafatoan se nidhaal hun!
Mein hun khaak gar! Mujhe paak kar!
Meray Paak Parwardigar Rab!

Mujhe Dard o wird nawaz dE!
Meray KhAaliq o Raaziq Khuda!
Meri fikr ko woh awaz de!
Jo sada daroOD parha kray!
Meri hasti e bardbaad mein jo naya Wujood bapa kray!
Meray Sukhn ko woh Ejaz de!
Jo Azaan ta ba Hijaaz de!
Meri Qaum ko de Tuloo e Noa!
Mujhe noor e ilm nawaz de!

By Saji

Sign In to know Author