darya: (paaani k bahaao ki awaaaz) gashzzz...shzzz,,,gashzzz...shzzz....
Main: (aik tanziyaa hansi k bad)
khaaamoshi se cheekta darya hai tu...
jazbaaat se ahsaasat se be parwa hai tu...
darya: (apni mojo ko thehr jaanay ka hukam de k) kia bolta hai meri he dehleez pe aa k?
main: yehi k tu bas bahay ja rha hai…. Shor he bus kahe jarha hai..
na jazbaat ki fikar tujhe … ,,,Haan bas zulm jaaanta hai…
darya: zulm? Zaaalim me hun?
Main: haan tu hai kitno ko apne aagosh me gharq kar dia hai tu ne…kitni saaansay tujhe me jaa k ruk gayi hain…or ab bus tu faaatehana khamosh bhe hai or shor bhe karta hai…
Darya: wah kiya kehnay huzur k?
hum he thehray future k?
Zaalim main hun ya tum log?
Main: hai kia matlab tere kehnay ka?
Darya: yehi k main ne gharq kia inhe ya tum logo ne? tu kehta hai mujhme ahsaasat nahi hain? Mohabbat ,darr,akelapan ,bechaini,tishnagi,mehrumi , zaeeefi or awaargi…. In sab se bhar chukka hun main…kabhi meri lehre or mojain josh se uthti the,,,cheekhti the…ab to in jazbaat ki giraft me hun… jese ab in k aagya shikast me hun.. mujh se ab bahaa nahi jata … main mojo ki lehro ki rehbari nahi kar pata ab … kiun k main kamzor hgya hun…
Main: kamzor ? dikhta to nahi hai? Tere daman me ab bhe aik bhanwar hai… takatwar bhanwar…
Darya: haan bhanwar hai…or dekh to sai…main he khud is bhanwar ka shikar hun…main he dooobta jarha hun …dooobta jarha hun… or zaalim bhe main..dar asal zaaalim tum ho… main ne kisi ko gharq nahi kia …wo sab mere paas aatay hain or mujhe raaz bta k chalay jaatay hain…wo raaz jo tum logo k siyah chehre ka aks hain..
“AYE DARYA …MUJHE PASAND KI SHAADI SE ROKA JARHA HAI..”
“MAIN DARTI HUN MERE BHAAI KO AGAR MERI MUHABBAT KA PATA CHAL GAYA TO …WO MUJHE MAAR DEGA”
“MERA KOE NAHI,SAB MERI UDAASI PE HANSTAY HAIN,JESE UDAASI IK LANAT HO…”
“MAIN JO KAR RHA HUN WO MAIN NAHI HUN,MAIN JO HUN MAIN WO KAR NAHI RHA HUN”
“MUJHE TALAASH HAI USKI…LOG TALASHNE BHE NAHI DETE”
“MUJHSE ZAAALIM NE SAB CHEEN LIA..MERI DOLAT…MERI OLAAD …SAB”
“MAIN IS MAAASHRAY ME NAHI REH SAKTA..MAIN ISKI TARHA BEHIS NAHI HO SAKTA”
“MAA BAAP KI KON SUNTA HAI BHAI AAJKAL…..”

aisay haaazaro raaaz,jo tum samjh nahi sakay or samjh bhe nahi sakte… tum zaaalim ho dunya walay tum zaaalim ho..tumhara zulm hai kisi ki muhabbat,darr,akelepan,bechaini,tishnagi,mehrumi,zaeeefi or awaaargi ko nahi samjhna … wo gharq mujh me huwe hain or gharq karne waalay tum ho..unki saansay mujhme rukii or roknay waaly ho tum….

Main:(socho me gharq ho k) main kia kahun,kehne ko kuch bacha he nahi… jo fakhar tha khud pe,mujhpe jacha he nahi…
Darya: ( aik cheenta ura k chehray pe maar k) phir milain gay ….( mojo ko rawaani ka hukam dia or phr se shor karne laga)

Sign In to know Author