Aaj hi k din desh bhakti jagao..aur phir bhul jao.. aisa kyun karte hain hum log ? Ya toh dil me ye jazba har din rakho ya phir ek din ka dikhawa na karo.. kuch karo toh dil se karo.. "sarve bhavantu sukhinah !!"

My frnd - dikhawe ki aadat lagi hui hai sabko.. kya kare !

Me - aadatein badli jaa sakti hain.. par yehi jab fitrat ban jaaye..tab hoti hai mushkil..tabhi toh.. sochna chahiye ki hum chahte kya hain !!

My frnd - ab toh har cheez fitrat bante jaa rahi hai.. sochne ki mehnat karne ki ummeed kis se rakha jaaye ?

Me - sahi baat.. yehi par aakar hi toh sab kuch tham sa jaata hai ..

My frnd - bandhe haathon ki majboori, sab chupchap dekhte raho.. par phir bhi azaadi ka jashn manaate hain !!

Me - kaash issi jashn k bahaane hamare desh ki andar ki duri mit jaati... par nahi.. kal phir hawa ki wohi rukh rahegi..

My frnd - aaj bhi rukh wohi hai..bas sab araam kar rahe hain ghar pe.. ek din ki chhutti hai na.. aaj bhi kashmir me maara maari jaari hoga..

Me - hmm.. phir toh meri hi galat phehmi thi ki maine socha aaj kuch alag hai. . !

My frnd - sahi disha me sochne waalon ki kami hoti hai aksar .. aapne bilkul sahi socha hai..

Me - jee thank u..

My frnd - philosophy me koi peeche nahi hai..par iss se desh kahan chalne waala.. desh toh koi aur hi chalata hai..

bas .. issi statement ne mujhe realise karwaya ki bolna aasan hota hai aur karna mushkil...
toh doston apni jimmedaari samajh kar iss baar votes dijiye.. women empowerment me jyada kuch na kar sako par atleast unhe unnke haq k baareme samjhaiye..

jyada nahi..par bharat maa ki thodi si help toh ho jaegi na... :)

Sign In to know Author