kyun tumhe khoobsurat ab kaha nahi jaata...
kyun tumhe yaad karke khudi mein aur muskuraya nahi jaata

kyun tumhare darwaze ke bahar khade rehkar bhi,
dastak dene ko jee ko manaya nahi jaata

kyun har saans ke saath tumhare bichadne ka zeher
ab aur apne khoon mein milaya nahi jaata

Thehre toh hum they tumhari chaahat mein bahut, par tab
kabhi tumse thoda intezaar humse karwaya hi nahi jaata

Pyaar ki baesabri mein apni hum kho baithe jo tumhe
khud ko is galti ke liye, kabhi maaf kar bhi kaise paata

Zindafi khoobsoorat hai, rangeen hai , aur sabki khudki apni hai
bhool gaya tha main,
Khud se jab nahi tha pyaar,
Akhir tumhare saath insaaf kaise kar paata

Jab tum thi saath har samaa sangeebn tha,
Par tab kabhi aisa sada hua poem tumhe likh kar bhej hi nahi paata

Tumhe mujhe jaane nahi dena tha,
Tumhe rokne ke chakkar mein, kabhi tumhare paas aa hi nahi paaya,
Wo umar hi kuch alag thi, wo sach kuch aur dikhta tha,
Tum chaahat se zaroorat kab ban gayi,
Ye kabhi khudi ki nasamjhi ko samjha hi nahi paaya....

Peeche mudke dekhna ab choda hai,
Koshish hai ki dheere dheere sapnon mein bhi tumhara aana ruk jaye,
Kambakth subah hi kharaab kar deti hain, par un sapno bhi kya kosun,
jin mein tumhari uns mil pati hai

Bahut filmy ho gaya i know, and aaya tha main abhi tumhare ghar ke paas,
bas tumhare tak nahi chal paya, so just wanted to tell you

kyun tumhe khoobsurat ab kaha nahi jaata...
kyun tumhe yaad karke khudi mein aur muskuraya nahi jaata

Tags: ROMANCE

Sign In to know Author