hasrat hai tujhse milne ki utni,
chakore ko chaand ko pane ki jitni,
na usse jyada na usse kam...
 
dil hai deewanaa tere liye itna,
more ka dil ho sawaan ko jitna,
na usse jyada na usse kam...
pyaar hai mujhko tumse bas itna,
hansoon ke jode jode ko aapas me jitna,
na usse jyada na usse kam...
chahat hai khushiya bikheru main itni,
suraj bikhere jo dharti pe utni,
na usse jyada na usse kam...
bhul gayi thi ye ke yaadein hai kaisi,
kaanton ke beech gulaabon ke jaisi,
na usse jyada na usse kam.... 
                                    Tags:
                                        
                                
                                                    
                        
                            
                                                            
                            
                                
                                                Sign In
                                            
                                            to know Author                                
                                    - AANYA VERMA                                
                            
                            
                        
                    Comments (2 so far )
AKANKSHA SRIVASTAV
                                    sooo beautiful 
                                    May 1st, 2012
                                    Author
                                    thnx akanksha :)
                                    May 1st, 2012
                                    

