nadaan the woh pal...
nadaan thi woh baatein,
nadaan tha woh ishq,
nadaan thi fariyaade,
nadaan si raatein,
nadaan the woh zakhm,
nadaan thi woh kasame,
nadaan the woh rastey,
nadaan the woh lamhe,
nadaan hote hue bhi,
jaaney kab rastey badal gaye,
jis manzil me pahuchne ka intezaar tha,
us tak k mod badal gye..
lekin ab bhi ummeed hai uss nadaani me,
ki woh ishq,
woh fariyaad,
lautkr aayenge..
hausle buland hote h jinke,
nadaan hokr bhi woh jeet jayenge..

Tags: Innocence

Sign In to know Author