Kis raah par thahre, kis aah par bikhre
Uss manzil ko kyun dhunde. jo jazbaat ko nakaare;
Hamari aastha ka dor hum hi sambhaale
Har neev ka jod hm hi dhaale
Niyat ki shikha phir kyun nhi hamare hi sahare?
Jab jeene ka aadhar tujh me rab
Tab teri raah pe kyun hua insaan nishabd?

Har pag par dhansti-si-dharti ka ahsaan mujh par
Prakritik-nidhi ka dan mujh par
Jab surkh chandini ne ki andher-nagri sushobhit
Tab sama ki raftar pe akela chalta raahi kyun hua bhaybhit?
Jab teri anokhi leela se jag hua labalab
Tab har dukh-takleef k prashan par kyun hua insaan nishabd?

Armaan ki chaukhat par kismat ki sunwaayi
Moti ke saagar mein insaan dhunde ek-ek kar pai
Har tadap par rakhe sanyam ka hisab
Simatte huye ansh bune wahi bikhre khwab
Ab, jab maryaada ki syahi par sashakt hua har pad
Tab aaj rab, tu kyun hua nishabd?

Tags: Hindi

Sign In to know Author