Meet tha chaha mila nahi,
Par fir bhi koi gila nahi,
Sabko sab kuch milta bhi nahi,
Par humko kuch bhi mila nahi.

In lambi sooni rahon main,
Jab jab saathi ki kami hui,
Yaad kiya tuta wada,
Aankhon main meri naami hui,
Ab sathi kaise bana bhi le,
Naton ka koi sila nahi,
Par fir bhi koi gila nahi.

Ek baar kabhi humne bhi yu hi, Tasveer koi banayi thi,
Mahfeel humne bhi sajai thi, Dur kahi tanhai thi,
Saya mere sunepan ka,
Khada kahi hasta mujhpar,
Bas utthi kahi chingari fir,
Thi saanse meri thami hui,
Bikhre tinke Sapne tute,
Par Tinka bhi koi mila nahi,
Par fir bhi koi gila nahi.

Chalte chalte hum thak jae,
Bas raahen meri ruk jae,
Manzil fir bhi naa hum paye,
Aur kahi hum gum jae,
Rukhsat naa fir bhi aahein ho,
Aapni naa koi gaahen ho,
Bas aisi hi khwahish hai,
Jeevan ka ye bhi sila nahi,
Par ye bhi humko mila nahi.
Koi humko gila nahi, koi humko gila nahi…..

Tags: Poetry

Sign In to know Author