Phir wahi raat ayi hai,
phir wahi teri yaad ayi hai,
phir wahi tere se dur hone ka ehsaas hua hai,
phir wahi jaam hath mein liya hai,
phir iss bhare paimane mein tujhe dekha hai

Tu to chali gayi yu tanha chhod ker,
Magar apna ehsaas, apni yaadein chhod gayi..
Teri yaadein jeene nahi deti
Or Maa ki ankho mein mujhe kuch banta dekhne ki umeed marne nahi deti...

Chal raha hu kyu ki ruk ni sakta,
Hass raha hu kyu ki ro nahi sakta,
Ankhi khuli hai kyu ki waqt se pehle marr nahi sakta,
Ab to bass ek he khuaish hai ke ager tu zindgi bhar saath na de saki to koi ni magar jab zindgi sath chhode to unn akhri palon mein mujhe kass ke pakad lena...... Mein unn chand lamho mein he zindgi jee lunga..

Tera intazaar humesha rahega...

Tags: Philosophy, Poem

Sign In to know Author