Ye raat aayi hai
Haule se...chupke se
Dabe paaon
Kamre mein mere
Liye siskiyon ki kahaani
Jo dafn thi kahin
Dil mein mere

Wo raat bhi aayi
Jab sirhaane mere
To phera usne haath apna
Mere sar pe
Maano mujhe wo
Kahaani sunaana chaahti ho

Kuch kehne ki hi der thi
Ki bas hawa ke tez jhokon ki wajah se
Khidkiyon ke shor ne
Us raat ko
Khaamosh-sa kar diya
Ab wo khamoshi
Uska naseeb ban gayi hai

Mere toote khwaab
Jo farsh par
Zakhmi pade the
Ek baar phir
Uth khade hue
Jaise wo bhi
Sunaana chaahte hon
Kahaani apni

Ek arse se
Jo khaamosh thi
Meri tamanna
Ab wo bhi bol uthi hai
Maano jaise kisi ne
Koi jaadu kar
Usmein jaan phoonk di ho

Us raat ki ansuni dastaan
Aaj sabhi sunne ko betaab hain
Par ab aisa lagta hai
Jaise wo raat bhi
Rooth kar mujhse
Door kahin jaa rahi hai

Sign In to know Author