Rehta hoon tere hi sheher mein,
Gumnaamo ki tarah,

Uth-ta hoon junoon banke par,
Afsaano ki tarah,

Jee chahta hai tujhko main, jee bhar ke dekhoon,
Tere khayalon ki baarish mein, khudko bhigo dun,

Par yaad mujhe aata hai tu,
Beimaano ki tarah,

Rehta hoon tere hi.....

Suna hai tu chahti thi mujhe,
Deewano ki tarah,

Main bhi jala teri chahat mein,
Parwano ki tarah,

Tere tassavur ko tadpa hoon, kaise main bhuloon,
Chal aaj sitara ban ke main, aasmaan choo loon,

Tu pyaar mujhe kar sakta hai,
Anjaano ki tarah,

Rehta hoon tere hi......

Tu chaand bhi ban sakta hai ye, mujhko hai yakeen,
Mere liye to kaafi hai ye, do hi gazz zameen,

Rukhsat mujhe kar sakta hai tu,
Mehmano ki tarah,

Rehta hoon tere hi sheher mein,
Gumnaamo ki tarah,

Uth-ta hoon junoon banke par,
Afsaano ki tarah......

Tags: Gazal, Poem

Sign In to know Author