kaisa hai ye paisa
ajab hai iski maya
ek baar jo laga ye jiske haath
fir vo kabhi sambhal na paaya
kisi ke paas hai itna ke poora na samaaye
to vahin, kisi ke paas itna bhi nahi ke haath me aan paaye
chote bade sabhi sizes me hai ye aata
ek nahi do nahi sabhi ko hai ye bhaata
karvata hai ye kaam kharaab
anjaane me hi hote hain paap
aye ameer, kar itna bhi na ghamand khud par
ke bhool jaaye tu apni hi insaaniyat
vo gareeb bhi to hai ek insaan hi
khuda ko jaake dega kya jawaab tu?
2G, 3G, CWG hain sab scams iske naam
kya paisa hai bura ya hai ye insaan ka kaam?
itni bhi na badha apni icchaao ki potlee
ke dusre ki cheen le tu zarurat ki mutthi
paisa to hai haath ka maell
isko kyu rakhta hai sambhaal tu?
kar apna dil itna bada
ke kare kisi ko na niraash tu
arre faayeda na bhi kar sake
to na kar kisi ka nuksaan tu
har kisi ke naseeb me nahi hai isey paana
kisi ka dosh to nahi, par kya koi hai kuch kar paya?
gareeb to bas kalpana hi kar sakta hai us sukhadh zindagi ki
jise ameer bas ek shaam me hi hai kharch kar jata
fir dil dukhta hai dekh kar kisi bacchi ko bheekh maangti
kya kusoor hai un baccho ka jinhe viraasat me mili ye gareebi
khair, fir ek baar, badi aasaani se jhaad lete hain apna palla
ke hum kyun soche is baat ko, humko kya hai isse lena dena?

Sign In to know Author