Shikwa nahin kisi se, kisi se gila nahin - (2)
Naseeb mein nahin tha jo humako mila nahin
Shikwa nahin kisi se, kisi se gila nahin
Naseeb mein nahin tha jo humako mila nahin - (2)

Tu mil saka na hamako, tassali toh mil gayi - (2)
Aayi bahaar shaakh pe kali bhi khil gayi
Armaan tha hamako jiska woh gul khila nahin - (2)
Naseeb mein nahin tha jo hamako mila nahin - (2)

Yaadon ki jhilmil aati parchhaaiyon ke din - (2)
Katate nahin hai tanaha tanhaaiyon ke din
Hai chaahaton ka dilkash abb silsila nahin - (2)
Naseeb mein nahin tha jo humako mila nahin
Shikawa nahin kisi se, kisi se gila nahin - (2)
Naseeb mein nahin tha jo humako mila nahin - (2)

Sign In to know Author