http://www.writerbabu.com/post/1310/the_little_leaf_/
ver 2 :- a reply to the little leaf by the tree....
and is not only a reply its personal too

Haan maana bahut guroor hai mujhe
Meri himmat, mere wajood par
Ke maana tumhare bina jee sakta hoon main.

Kyu na ho mujhe guroor aakhir,
Kya kabhi socha tumne
Ke har woh patta
Jo mujhse bandhkar mujhe chhod gaya
Ek hissa tha mera.

Kya kabhi socha tumne
Ki har woh dhoop ki kiran
Har woh baarish ki boond,
Tumhare sath maine bhi jee hai.

Kya kabhi socha tumne,
Ke jab tum haar kar
Yun khud ko mitaa kar chal diye
Tab mai,
Yaahan, kuch aur toota,
Kuch aur bikhraa,
Kuch aur adhuraa-sa hota chala gaya.

Tum ho ki bas
Apni kashmakash bayaan karte ho
Chand aansoo yun bahaakar
Apne tootney ka kissa bayaan karte ho.

Kya kabhi socha tumne
Ke na jaane kitne mausam
Maine bahaar ke aane tak tanhaa guzaare.

Yeh jaante hue ki
Ab patjhad door nahin.

Ke har baar maine khud ko
Kishton mein toot tey dekha hai
Har baar woh bichhadne ka dard sahaa hai
Aur har baar kuch kamzor hua hoon main.

Har mausam se ladtaa aaya hoon main,
Ke jaanta hoon
Yeh bahaar phir patjhad saath lekar ke aayegi.

Magar phir bhi
Yun ummeed baandhkar baithaa hoon
Ki haar maan na abhi tak seekha nahi maine.

Kyu na ho mujhe guroor aakhir.

Sign In to know Author