Na aas tuti, na aankho se intizar gaya
Ek aaitbar pe mai ek umra haar gaya.

Isi ujalon ki basti me vo v rahata tha
jo ek shav ki tarah jindagi gujar gaya.

Kisi gulab ki khusbu se ham v mahkenge
is aas par hi yahan mausme-bahar gaya.

Hamare pyase labon par kuchh ungliyan hi uthi
Magar tumhari to mahfil ka aaitbar gaya.

Tags: Fantasy

Sign In to know Author