Tumse dosti kya kari …yeh toh galti kar di ..
Ghar se nikalta tha ….tere saath …kuchh door chaltaa tha…
Daalkar haatho mein haath …kabhi idhar jaana…toh kabhi udhar jaana
kabhi beech mein se mud jaana….
Kuch aur door chalta tha toh yeh he lagta hai …ki tumse dosti kya kari …yeh toh galti kar di …

Khaana khaate they milkar aur baat kar ….
Baatein bhi karte they vo bhi milkar ….pass hote hue bhi toh kabhi lagta hai
Tu bass thodi si door hai ..choti si baat …kabhi takraar toh kabhi sharmaa ka inkaar …
Thodaa aur sochtaa tha toh lagtaa …..tumse dosti kya kari yeh toh galti kardi …..

Dekhta hu chaaroo aur ..sorraj aur badlo ko kabhi chaand toh kabhi sitaaron ko…
Smjhna chaahta hu ki inki dosti ko kyaa naam du …sorraj chamakta hai toh badal usko dhaak leta hai
Sitaaron ko dekhta hu toh chaand sharmaa jaataa hai …inke man he man kuch chalta hai ..
Chaand kehta hai …sitaaron ko ..aur badal kehta hai sooraj k ujayaare ko …
Tumse dosti kya kari yeh..toh galti kar di …

Jab kabhi tu hasti hai thi …main tere saath mein hasta tha..
Tu kabhi roti thi …toh apnaa kandhaa aage kardeta tha…nadii mei machliyoon ki tarah…
Tere in mottiyoon se aansun mere dil par behete chalee jaate they…
Kuch jhatpata tha …lekin fir bhi paar pahuch jaata tha…
Jab uth kar dektaa tha …toh tujhe kahi nai paata thaa…
Man kartaa tha …toh bass yeh he kehne ka ..
Ki tumse dosti kya kari..yeh toh galti kar di ….

Sapne dekhta hu ..toh bass teri yaadein hai …
hosh mein aata hu …toh bhi tujhe he dekhtaa hu…aur madhosh ho jaata hu….
Kaisi ban gai hai aadatein meri…naa soo paata hu ..naa theek se jag paata hu …
Kuch chalti hai toh bas ek he baat man mein …
Tumse dosti kya kari ..yeh toh galti kar di …

Jo kabhi nai sochaa tha…vo aaj ho gaya
Kaisi yeh ajab dosti ki uljhaan hai…
Meri jaan …mjhe tumse pyaar ho gaya

Sign In to know Author