Apni pehli awaaz ko yaad karta hun main…
Na naam na pesha, us bachpan ke din ko yaad karta hun main

Jab nadaniyaan kiya karta tha, jab khel main padosi ke sheeshe toda karta tha,
Logon se mila karta tha, aur doston ke saath hasi thitholi kiya karta tha,
Jab homework ke liye kalam ka istemaal karta tha, jab parivaar ke saath waqt bitaya karta tha..
Us din ko yaad karta hun main jab sapne dekha karta tha…kuch dil se socha karta tha…

Aaj padosi to hain par jaan pehchaan ke liye waqt nai hai…aaj dost to hain par baton ke liye samay nai hai…
Ek andekha taaron ka janjaal hai, jis par zindagi ka bhaar hai..
naam bhi hai..ek mukaam bhi hai…

na pehle ka soch kar , na aage ki chinta karke…na jaane aaj kya hai

ye dil hai… yeh zindagi hai…
jo hai bas aaj hi aaj…bas aaj ka aehsaas hai….

Sign In to know Author