'meri'
pyaari si gudiya
hasti khelti
muskuraati
lipat ke mujhse
chehchahaati

dekha jab meri aankhon mein usne
to main dekh sakta tha
unme
bharosa tha
pyaar tha
aur 'mein' tha

Mujhko dekh kar
meri aaknhon mein aansu they
aur mere aansuon mein
khushi thi
'bharosa' tha
'pyaar' tha
aur dil mein
bas woh thi

mein dekh sakta tha
ki woh bhi use dekh sakti hai
meri aankhon se mere dil mein
aur sun sakti hai
meri dhadkan se mere dil ko

aur haan us lamhe mein
na koi ikarar tha
na koi intezaar tha
par haan
mera saara sansaar tha

Tags: Love, Gudiya, Lamha

Sign In to know Author