Wo chala gaya mujhay chor kar
Mujhay jis k fun par Naaz tha

Mere Qalb o Jaan ka saroor tha
Meri rooh ka jo Saaz tha

Meri zindagi ka Ameen tha
Meri hakomaton ka Ameen tha

Wo Shareek e ghum tha mera
Meri Hijraton ki Namaz tha

Meri gurbaton ka hijaab tha
Meri Bujhi ankhon ka Khawab tha

Meri sari khushian usi se thi
Wo mere ghamon ka Ghumaz tha

Meri Khawahishon ki hareem mein
Chahat ki Bad o Naseem mein

Wohi Zamurd o Aqeeq tha
Meri Kamrani ka Raaz tha

Mera Awal o Akhir tha Wohi
Wohi mera Zahir o batin b tha

Mere sub Sawaal usi se thay
Wohi mera Raz o Nayaz tha

Sign In to know Author