Dil thaam ke dekha jo, toh kuchh yaad aaya,
Muddat hui ki zamaane ko main yaad aaya,

Umr se majbur hu, ke kuchh yaad rehta nai,
Main jo bhulta gaya, tumhe wo yaad aaya

Chehre ki muskaan, aankho ki narmi dekh aaj,
Na jaane kyun, wo pusht pe khanjar yaad aaya,

Zindagi se rooth kar, socha ke chhoot jaaun,
Ke phir Maa ki aankho ka wo khwaab yaad aaya

Lab e baam phir aarzoo hai, girne ko beqaraar,
Rago me khushki magar phir ubaal yaad aaya

Us jaa khade ho tum, bewafaayi ke lab liye,
Is ja, lab par tabassum, wa’ada-o-imaan yaad aaya

shab ka taqaaza hai, warna shaayar nahi ashhar,
aankho ko phir yoon bekhwaabi ka aalam yaad aaya

Sign In to know Author