milkiyat ka shauk rakhne waale
kuchh rajkumaaron ki raajneeti hai
dada ,pita to aaj beta
ye chand pariwaaron ki rajneeti hai

nirdoshi ka choga pahne
kasoorwaaron ki raaj neeti hai
aur gar saamne aa gai chori
to seenajoron ki raajneeti hai

kal ke meethe wachan ka koi tol nahi
gar aaj jarurat nahi to koi mol nahi
kal to preet ke fuhaaron ki raajneeti thi
aur aaj gaaliyon ki bauchharon ki raajneeti hai

bas bhookh hai desh ke daulat ki
ye desh ke looteron ki raajneeti hai
videshon mein dhan chhupaye
vikshipt jamakhoron ki raajneeti hai

rupayon me bik gaye akhbaar
biki hui samacharon ki raajneeti hai
lachhar logo se jhuthe waade karti
ye besharm sarkaron ki raajneeti hai

kheech kar jaatiyon ki laakeeren
baat diya insaan ko alag alag
janta ko gumraah karti ye
batwaaron ki raajneeti hai

koi matlab nahi desh se
bas chinta satta ke galiyaaron ki
aur janta ke khoon se sani ye
satta ke galiyaaron ki raajneeti hai

Tags: Politics

Sign In to know Author