Samudra ki lehro ko khadi dekh rahi hun main!

Inke bahav me chalu ya vidroh karu ye soch rahi hun main!

Aane wale palo ki soch dheeraj sanjo rahi hun main,Kya karu aage ye soch rahi hun main!

Aankhen nam hai kyunki khoya mera lakshya hai,use talaash karu ya chod dun ye soch rahi hun main!

Sabki umidon ko barkarar rakhun ya apne sapno aur vaado se vafa karu,ye soch rahi hun main!

Dorahe par khadi hun ek rah chunne ki majboori ko kos rahi hun main!

Apne vajood ko mita kya nayi shuruwat karu,ye soch rahi hun main!

Aane wale palo ki soch ghabra rahi hun main, Inke bahav me chalu ya vidroh karu ye soch rahi hun main!

Tags: Dreams

Sign In to know Author