zindagi jane kis mod par le aayi hai,
ab to har waqt, har su, bas tanhayii hai.
intzaar ki had bhi ab par ho chuki,
dil ki har aawaz mein bhi ek ruswayii hai.....

meri yaadon mein bas kar tu kyon itna rulata hai,
dil ye poochhta hai tujhe bhula kyon na pata hai.
ab to aansuon ki jheel bhi bhar chuki,
in geeli ankhon mein ab bhi teri parchhayi hai.....

Tags: Poem, Lonely, Memory

Sign In to know Author