Zindagi ka safar,kaha le ja raha tha,
Jo ek baar gaya tha woh fir woh laut kar na aa raha tha,
Chal rahe the hum ek rastey par dheere dheere,
Sath the hamare kai phul, bhawre aur chide,
Har din tha pyar mohabbat se bhara,
Mann bhi karta tha ghumtey raho dheere dhere,
Usi rastey par chalte chalte koi humsafar mila tha,
Sath chahta tha woh hamara dheere dheere,
Par ye khuda ko manzoor kaise ho jata itni aasani se,
Usne hamari raah badal di dheere dheere,
Chale gaye hum saare bhawro aur phulon ko chodh kar,
Ud gaye hum pankh failaye azaad dheere dheere,
Phir kya tha humne jakar dusri jagah nayi duniya basai,
Socha tha is baar banayenge sapno ka ghar dheere dheere,
Par na janey humme woh baat thi ya unme ki woh hamare paas aakar bhi duur ho gaye dheere dheere,
Kya karte phir kahi zindagi le chali thi,
mil gaya tha hume naya humnawa dheere dheere,
Woh dost tha hamara,pyar bhi tha,
Sath bhi tha aur Sathi bhi tha,
Itna dil lagaya tha humne usse,
Ek mod par woh bhi dur chala gaya dheere dheere,
Phir kya tha hum bhi chale gaye unse dur dheere dheere,
Par khuda ko ye bhi gawaara tha,
phir beech chaurahe me chodh diya humko dheere dheere,
Humne toh kabhi kisi ko dhokha na diya tha,
Phir kyun nahi koi samajh paya tha hume dheere dheere,
Chal pade hum usi safar me,dukh k baadlo k beech,samundar me,
Phir wo mile hum mile,Aur laga ki ab jannat thi,
Har pal ,har waqt bitney wala unk sath hame khuda ki rehmat thi,
Itni khubsurat thi hamari zindagi,
Ki hum chote chotey sapne bunne lage the phir dheere dheere,
Par woh khuda bhi kese chup chap baitha rehta ,
socha ki kuch pher badal kiya jaye dheere dheere,
hume phir se bhej diya kahi aur kisi aur nagari me,
hum baithkar rotey reh gaye dheere dheere...

Sign In to know Author