Sometimes.....Life just ends up being something that you never expected it to be, in fact not sometimes but most of the times. There are moments when you realize you are lonely, very lonely....may be after a break up, demise of a loved one or a fight with a dear person and sometimes its a deeper and painful longing...... A poem that I penned on those lines.....

Zindagi ye kaha le ayi hai,
jahan dur tak koi dikhta nahi,
bas main hu, aur meri tanhayi hai,
raat me pehle khoti thi,
ab din me goom hoti parchayi hai,
Zindagi ye kaha le ayi hai,

saath chalte the kuch log,
kuch peeche chalte the,
ladkhadau main jab kabhi,
sahara wo dete the,
aaj jo dagmagaye kadam,
to jana ki ab koi saath nahi chalta,
galti kuch meri bhi thi,
nazar andaz karta raha sabko,
aaj aalam ye hai ki,
nazar nahi ata koi mujhko,

pukarta hu kisika naam toh,
bas awaaz gunj kar laut aati hai,
kitna veeran ho gaya hai ye jahaan,
koi sunta nahi meri sada,
andhera jaise gher raha hai ab,
saans lena mushkil ho raha hai,
koi god me sar rakhe do pal,
meri rooh ye jism chhod raha hai,
rokta bhi nahi koi,
koi aansu bahata nahi,
ek aakhri baar sahi,
koi lori kyu sunata nahi,

Tanhaai ki inteha ye hai,
ki maut ka farishta bhi apna lagta hai,
ise gale se lagalu main,
isse bhi koi rishta lagta hai....

Aaj maut bhi khubsurat nazar ayi hai
Zindagi ye kaha le ayi hai..........

- pratham

Sign In to know Author